Aakhir hai kya ye QR code
Aajkal aapko apne aas paas ye chhota sa square shape ki picture dikh jaati hogi. Iska naam QR code yaani ki quick response code hai, jisme aap dher saari information store kar sakte hain. Ab aap soch rahe honge ki jarurat kya hai is item ki hume. To guru, aane wale time me bahut important role play karne wala hai ye QR code. Aaj aap ise aadhar card, shopping malls, whatsapp login, IRCTC ticket, advertisements in sab jagah dekhte hain.
Features:
Instant access# kaam ki relevant information ke liye haatho haath wahin par
Easy to make# banana behad aasaan, kisi bhi online generator ki help se aap bana sakte hain qr code free me.
Cost effective# 100% free
Saves paper# abhi papers, documens le jaane ki jarurat nahi. Jagah jagah chipkaane ki jarurat nahi
Durable, gande nahi hote, dust-free, aur decent looking ke saath.
Kaise bana hua hai ye:
QR code actually kai parts me bata hua hota hai. Jaise ki
Version information & Format information: Jo bhi device in QR code ko scan karti hai uske liye ye information bahut important hoti hain.
Data and error correction keys: Purane bar code me ye features nahi the. Agar koi information missing hoti hai to rather than giving wrong information ye codes error check kar sakte hain.
Positioning: jab aapka phone ise focus karta hai to wo phone ko help karti hain is code ko focus karne ke liye. Bilkul aapke phone ke normal camera ki tarah.
Quite zone: Is wale zone me kuch bhi nahi hota. Ye code ki boundary ki tarah kaam karti hain.
Basically QR code 2 type ke hote hain
Static QR codes: Internet ki jarurat nahi, haatho haath information phone me. 8192 characters isme aa sakte hain.
Dynamic QR codes: internet ki jarurat hai. Aap audio, video, picture, business card kisi ka bhi link isme daal sakte hain. Rich media ke liye use hota hai.

Kaam kaise karta hai:
Simply aapko koi bhi qr scanner ka app aapko apne phone me daalna hai. Aur aapko app open karna hai, camera ko qr code ki taraf point karna hai. Aur bas ho gaya aapka kaam. Information directly aapke phone me. Agar static hoga QR code to directly aapke phoen me. Daynamic hoga to url khulega aur aapko aapke shared document par le jayega. Waise aajkal aapko app bhi download karne ki jaurat nahi hai. Aapke phone ke camera me hi ye feature aa gaya hai. Agar aapka camera koi qr detect karta hai to aapko screen par qr code ka symbol bana aa jayega.
I was able to find good info from your content.|
Amazing! Its truly amazing article, I have got much clear idea regarding from this article.|