Ab best Job dhoondhiye Google Jobs ki help se | अब जॉब ढूँडो गूगल जॉब्स पर

0
1697

Google ne is Tuesday ko ek aisa feature launch kiya jiski india ko bahut jyada jarurat thi. Yes.. Is feature ka naam hai Google jobs. Jisme aap apne aas paas apne qualification ser related job dhoondh sakte hain. Aur employer bhi aapka talent jaankar aapko best jagah utilise kar sakte hain. To baat aati hai ki ise use kaise karna hai. Ise aap apne android phone, iOS ya fir google search par bhi istemaal kar sakte hain. Google ne badi job companies jaise ki fresherworld, Aasaanjobs, LinkedIn, Shine.com aur timesjob jaisi companiyo se haath milaya hai. Aane wale time me google direct state government se milkar aur badhiya tarike se job availabale karane ki koshish me hai.

Iske liye aapko google me ‘jobs near me’ ya fir ‘jobs for freshers’ is tarah kar ke search karna hai. Google aapki location check karke aapke paas aapke requirement ki jobs dikhayega. iske baad aap filters ko use karke apne hisaab se aapki job profile, location aur company type field select karke apne layak jobs search kar sakte hain.

Isme ek aur badhiya feature ye hai ki filters use karke aap Alerts bhi generate kar sakte hain. Uske baad aapki selected categories me agar koi job availabale hoti hai to aap ko simply ek mail/notification genereate ho jayea.

 

Achint Srivastava jo ki google ki search engineering se hain unhone bataya ki google kaafi state government se baat kar rahi hai taaki humare youth ko best government job directly unke phone par available ho. Halanki google sirf search result se direct page par redirect kar raha hai. Google job par abhi apply karne ki suvidha nahi. Aapko company ke page par direct hi apply karna hoga.

 

 

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here