Abhi facebook wali kahani to dekh hi li hogi. Ki kaise ye zuckerberg naam ka launda aapki khidki se jhaank raha hai. Arre, Privacy naam ki koi cheej hi nahi hai. Chalo Facbeook to social discussion ke liye use hota hai. Par whatsapp? Socho. Aapki whatsapp ki details leak ho jaayein to ??
Yes Gabru, Just imagine karo ki tumhari babu shona ne kal jo tumhe photo bheji thi aur bola tha ki baby, dekh ke delete kar dena. Aur, achhe baby ki tarah tumne delete kar bhi di.. Us samajhdaar bacchi ki tarah usene bhi photo delete kar di. Ab na aapke phone me naa uske phone me. To picture leak hone ka chance hi nahi hai. To beta hai. Chance hai.
Kaise ? Aa jaao baitho auto me dikha dete hain.
Sabse pahli baat. Ye option whatsapp ki latest beta update yaani ki 2.8.113 isme hi available hai. Aur agar aap beta tester nahi ho to lull mat bane raho aur jaakar beta program join kar lo aur update karlo apne whatsapp ko..
To. Is jugaad ko dikhane ke liye maine 2 accounts ka use kiya hai. Pahla apna aur doosra mere dost ka to yahan par mera dost ek photo bhejne ki taiyaari me hai us ladki ki jisse uski abhi abhi setting hui hai.
To maan log ye hai bhai ki setting. Abe maan log na. Maanne me kya jaata hai. Aur usne share kardi mere saath.
Aur yahan par mere account me aa gayi. Bhai ne photo bhejne ke saath saath kuchh message bhi kiya hai..
Wo hai ye..
Ki dekhne ke baad delete kar diyo. Aur mai bhi kar dunga. To simply mera gareeb dost chahta hai ki uske phone se mere phone se aur server se delete ho jaaye pics to baat khatam. Koi nahi dekh payega. Is duniya se hi gaayab.
Isiliye yahan par mera friend katai smart bante hue apne phone se ye image delete kar deta hai.
Step one clear. Ab ek achha friend hote hue mai bhi apne phone ki gallery se ye pic delete kar deta hu. To ab na to uske phone me aur na mere phone me to photo to nahi aani chahiye. Chalo dekh leta hu. Jaise hi mai ise open karta hu to likha aata hai ye. Ki sorry bhaiyya. Ye aapkhe phone me ghanta nahi hai. To aap nahi dekh sakte. Aur sahi bhi hai hona bhi aisa hi chahiye.But ruko mere dost.
Jaise hi jaata hu mai back.. Aur click karta hu is image par wapas. To photo ho jaaati hai download. Aur aap dekh sakte hain ye pic.. So iska meaning ye hai ki whatsapp saari deleted pics server par store karke rakhta hai. Aur beta!! Private to kuchh bhi nahi hai.
To jo log apne aapko james bond samajhte hain aur sochte hain ki dono jagah se pic delete karne se saboot gayab ho jaata hai to guru.
whatsapp ke iss version se hume clearly pata chal gaya ki koi bhi cheeje delete nahi hoti.. To dosto ho sakta hai ki next version me ye feature fir se wapas le liya jaaye.. Humara kaam to aapko batana tha..
Greate article. Keep writing such kind of info on your page. Im really impressed by it.