Humari tech janta se ek sawal. kya aapko aapke phone se 1 ghanta door rahne par bhi bechaini mahsoos hoti hain. Apako lagta hai ki aapke jigar ka chhota sa tukda aapse door hai. Kya aapko aisa lagta hai ki 2 ghante phone charging par rakhne ke baad aapko Dhyaan aaye ki shit… maine charging wala button on nahi kiya to ye wali feeling girlfriend ke friendzone karne se bhi buri hai.
Kya aapko lagta hai ki aapko wifi, mobile data aur apps se door rakhna machhli ko paani se door rakhne jaisa hai. To beta ekdum sahi jagah aaye ho. Chatai bichhi hui hai baith jaao. Ye video aapke liye hi hai.
Mere dil se technical dosto. Har roz ek nayi technology aa rahi ahi. Har roj ek app saala mobile me badh jaata hai. Har din lagta hai ki mere wifi ki speed ‘sharma ji ke bete’ se kam hai. Upar se modi ji ne digital digitial karke humari $%^%$ Tak digital kardi hai.
Lekin iski limit kya hai . Kab tak ye digital locha chalta rahega. Aaj kal ke naye naye launde. Pura din phone pe, raat ko setting ke saath bubblegum ki tarah chipke rahte hai. Uncle log pure din office me computer par aur baaki bache time me family whatsapp group me goodmorning good evening karte rahte hain. Aur to aur ye haramkhor bachhe jo pahle lori sunane se, jhoola jhulane se khush ho jaate the, wo ab saale youtube par doramon pokemon dekh kar chup hote hain. Aur to aur class me, rajai me, drive karte hue, yahan tak ki potty karte hue ye phone bikram betal jaisa humara body part banta ja raha hai.
To ji. Kul milakar baat aisi hai ki apni life me ye digital wala zahar ghulta ja raha hai. Jis tarah anaap shanaap khane par bimari jab humari body toxic ho jaati hai aur hume detoxification ki jarurat padti hai theek usi tarah body ko digital wali charas ki aadat se bachane ke liye digital detoxification ki jarurat padti hai.
Kuchh padhe likhe logo ka kahna hai ki. Agar bahut samay tak hum digital devices ke beech me, subah shaam unse ghire rahe to in sab aafat ka saamna karna pad sakta hai.
1. Poor mental health: kuchh khatarnaak se dikhne waale scientist ne bataya hai ki digital devices par depend rahne wale logo par dheere dheere unki mental ability par direct effect padta hai. Unke gadgets aas paas na ho to wo apne aapko is tarah weak feel karne lagte hain jaise ki thor ka hathoda chiin gaya ho.
2. Poor human relationship: Apni device aur gadgets me lage rahne wale log apne aas paas ke logo se bhi kam hi sampark me rahte hain. Aur kai baar apne friends ko bhi. ‘bhai tu kaun’ bol kar chappal khaate hain. Kai baar to apne ghar ke log bhi unhe padosi jaise feel hone lagte hain.
3. Distractions: is tarah ke log poori tarah kisi bhi kaam me concentration loose karte hain. Unke mann me is tarha ke khayal aane lagte hain ki arre. Anu ne instagram par tujhe message kiya hoga. Swati tujhe whatsapp par apni selfie bhej rahi hogi. Ek baar check to kalle. Halanki ye hakikat se pare hota hai.
4. Poor gestures: sar uthakar chalne wale bhai log aajkal sar jhuka kar ghanto baithe rahte hain. Isiliye nahi ki paas ke muhalle walo se pitkar aaye hai. Isliye kyunki youtube par video dekhni hai aur jio ka 1 gb abhi khatam nahi hua.
Khair ye to sab ho gayi. Pareshaaniyaan jo ki digital toxificatin se ho rahi hain. Par video banane ke matlab hi kya jab solution nahi bataya. Ab mai kah du ki apne phone utha kar toilet me flush kar do. To tum wahin baithe baithe joote maroge. To dekhte hain kaise kar sakte hain hum detoxification of digital devices and gadgets . Yani ki digital detox.
1. Make your gadgets list: uthaao pencil. Aur likh daalo har ek us kutti cheez ka naam ek paper pe jisne tumhare dhyaan ki ma bahan kar rakhi hai. Phone, camera, laptop aur haan earphone bhi… sab kuchh apni list me likh daalo. Tab aapko pata chalega ki kaise in cheejo ne tumhe apna gulaam bana rakha hai.
2. Fix hours of devie use: dekho ji, kejriwal jaisi planning nahi karni hai. Ki saala 3 din tak phone hi use nahi karna hai. Karo. But hours limit karo. Isi tarah jo bhi aapki baaki devices hain unke number of hours limit kar do. Jaise ki earphone par songs ek limited time ke baad us din sunne hi nahi hai. Baba ka vishwas karo. Apako real world ke baare me jaane ka time milega.
3. How to stay away from your phone: jaanta hu. Dil ka tukda hai phone. Alag rakhne me dard to hoga. Tarike mai bata deta hu. Jaise hi aap friends ya famiye ke saath dinner par hain. Apne apne phoen ek basket me ya fir table par ek jagah rakh dein. Aajkal aise bhi kai restaurent hain jahan par aapke phone le liye jaate hain aur meal khatm hone par hi aapko wapas dijye jaate hain. Aur haan. Drive karte hue drive karne se pahle aap apne phone ko apni approch se hi door rakhdo. Taaki mann ho bhi anu ke message check karne ka to phone hi itna door ho ki aap check na kar paao.
4. Sunday ko chhoti si trip plan kar rahe ho. Picnic type ki. Haan to phone ko ghar chhod do. Pata hai pata hai mushkil hai. But try it. Emergency me kisi na kisi ke paas mil jayega. 1-2 ghante ke liye ghar se bahar nikalna ho . Ya pados wali bhabhi ke yahan kheer deke aani ho . Bina phone ke jaa.
5. Aur sabse last me. Dhindhora peet do: haan. Sabko bataao. Saala sabko bataao. Fayda ye hoga ki aap sabko batane ke baad ki bhai mai to digital detox par hu. Uske baad phone me ghuse rahoge to khud log danda kar kar ke tumhare haath se phone chhudwa denge. Fayda aapka hi hai. To. Bata do sabko ki tum hi gangadhar aur shakti maan ho.
Ek week try karne ke baad, I believe ki aap less dependent feel karenge, aapke distractions kam honge aur social togetherness badhegi. Problem badi hai. Halanki abhi itni badi nahi hai par foreign countries me digital detox ke liye yoga camps tak lag rahe hain. To time se pahle hi smart logo ki tarah problem ka solution nikaliye . Aur taiyaar ho jaiye digital detoxfication ke liye. Aur hume share kijiye apne experience comment section me.